Friday, 25 November 2011

Mere Dost Tum Bhi Likha Karo Shayari


Mere Dost Tum Bhi Likha Karo Shayari
Tumhara Bhi Meri Tarah Naam Ho Jayega
Jab Tum Par Bhi Padenge Ande Aur Tamatar
To Shaam Ki Sabzi Ka Intazaam Ho Jayega?

Udaasi Chai Hai

Niklay Jo Duniya Ki Bheer Main To Jana Yeh Faraz
Her Sakhs Woh Udas Hai Jisay Monday Ko College Jana Hai

Dil diya tha muhabbat ki nishani samajh kar

Dil diya tha muhabbat ki nishani samajh kar
Wo kha gya us ko bakar khani samajh kar
Khoon-e-Jigar bhi na chhora zalim ne
Wo bhi pee gya Lemo-Pani samajh kar

Yu bahana banana nahin acha



Yu bahana banana nahin acha

Humko yu tadpaana nahin acha
Nikla na karo sar-e-bazar be-naqaab
Begairat hain log zamana nahin acha…

Tere Haseen Hatho Ka Ahtram Krte Hein


Tere Haseen Hatho Ka Ahtram Krte Hein FARAZ.
Warna Hum Kabhi Yasso Panjo Mein Maaf Nhi Krte…

Chalo aao ab mosam ka soroor Chakhain


Chalo aao ab mosam ka soroor Chakhain,
tamam dawain bachoon ki puhach say door rakhain.
Tum say milny ki ab kia justujo karain,
Tabyat ziada kharab ho to doctor say rujo karain.
humari chahat ka kuch to khayal karain,
syrup ko achi tarha hilla ker istamal karain.
Dil mara toot gaya uthi jab us ki dolli,
Subha dopaher sham aik aik goli.
Dil mera ishq karny par razamand rahy ga,
juma k din clinic band rahy ga.

Aaj mosam mein kuch ajeeb si baat he


Aaj mosam mein kuch ajeeb si baat he,
bekabu se hamare jazbat he,
ji cahta he tumko chura le tumhi se,
par mummy kehti he ki chori karma buri baat he